add this

Monday, December 31, 2018

how to speak slow and clear in hindi

Dosto aaj ki is post mein main aapko batane vaalo ki kaise aap clear aur slow bol sakte hai vaise to
Aap jante hai aapki bolne ki style aapke andr ke confidence ke baare me batati hai ki aap kitna  aur
Aapki personality ko bhi batalati hai 

exercise for speak slow and clear 


Slow aur clear bolna ko bhi kathin kaam nhi hai aur asaan bhi nhi hai aap isko practice se kar sakte
Hai .jyadatar log ki aadat bhut fast bolne ki rehti hai jiske karan log unki baat ko samajh nhi paate hai
Slow bolne ki liye main aapko jis technique ke baare mein batane jar ha hoo .
Usko kehte hai typing technique is exercise ko karne ke liye aapko ek poem ya ek poetry ko utha leni
Hai aur aapko likhne ke sath sath bolna hai aur apne awaaz ko apni writing ke sath match karwana hai ye exercise aapko din me 15 minut tak karni hai is exercise karne se aapko ye fayda hogi ki aapki
Bolne ki skill dheere dheere improve hogi jaise aapko saans lene ke liye prayapt samay milega aur aap sabdo ka uchcharan bhut hi saralta se kar payenge turant to nhi lekin practice karte karte aapki
Communication skill jarur sudheregi

Dusri exercise jo main aapko batane jaa rha hoo vo hai deep breating ji haa ye exercise bhut hi jraruri hai ydi aap apni voice ki range ko badhane chahte hai aur sabdo ka sahi uchcharan karna chahte hai aapko saans ko ander keechna hai aur usko baad chodna hai you tube bhut se video pade
Aap vha se dekh sakte hai ki kaise deep breating exercise ki jaati hai isse aapki voice quality jarur hi
Improve hogi

Dosto teesri exercise hai vo hai ohm sabd ka uchacharan aapko deep breating exercise kar lene ke baad ohm sabd ka uchcharan karna ohm………….. aur isko bhi kam se kam paach minut to karna hai
Isse aapki voice ke speed mein control hogi aur aap bhut asani se kathin se kathin vakya ka uchcharn kar sakte hai

Dosto speaking skill improve karne ke liye aapko ek aur baat ko bhi dhyan me rakhna hai jo bhi vakya
Aapko bolna hai aapko jyada se jyada prayas karna hai aap apne pet se bolne ydi aap apne pet se bolne ka prayas karnenge to isse aapko bolne ka samay mil jayega aur aapki baat karne ki speed bhi control hogi aur ye exercise aapko kam se kam 1 mahine to jarur karna hai mujhe ummeed hai aapko apni voice quality improve karne me madad milegi ydi aapko ye post pasand aayi to isko jarur se apne mitro ke sath share kijiye milta hoo main aapse ek nyi kamaal ki post ke sath


Tada tada  

No comments:

Post a Comment